Ye Tera Kaisa Insaaf Hai





Ye Tera Kaisa Insaaf Hai


Ek Ladki gali se guzarti thi. Ek manchala Ladka usko dekhta tha. Ladki Naqaab main hoti thi, to us naqaab ko dekh ke ladka kehta tha

"E Pardanashi parda utha
Meri Mohabbat Qubul Kar
Jalwa Dikha."

Ladki Nakaar kar chali jati thi. koi jawaab nahin deti thi. Ladka Bada afsos rehta tha.
Har roz ladki ko dekhta ta tha aaur yahi zumla kehta tha


"E Pardanashi parda utha
Meri Mohabbat Qubul Kar
Jalwa Dikha."

Ladki Nakaar kar chali jati thi.

Tisre roz phir ladki ko dekhkar ladke ne phir kaha

"E Pardanashi parda utha
Meri Mohabbat Qubul Kar
Jalwa Dikha.
Agar tu ne jalwa nahin dikhaya to main khudkhusi karlunga."

Chauthe roz jab ladki gali se goozri wo manchala ladka usko nahin dikha. Ladki ko bada afsos hua. Logon se pucha kahan hai ... Logon ne bataya "Beti usne tumhare gam me khudkhusi karli."

Ladki uski qabar pe gayi aaur jaakar kehne lagi

"E mere gumnam aashik
ayi hun tere majhar par...

E mere gumnam aashik
ayi hun tere majhar par...
le ruk se naqaab hata diya
jee bhar ke mere deedar kar."

Ladki ne kaha ...

"E mere gumnam aashik
ayi hun tere majhar par...
le ruk se naqaab hata diya
jee bhar ke mere deedar kar."

To us Qabar se aawaz aayee

Ye Tera Kaisa Insaaf Hai

Aaj main parde me hun ...
Aaj wo benqaab hai ..."


"The silent story"
Writer:-  Mr.MoinKhan 

Post a Comment

2 Comments